badme amruth pilane se kya fayda
kabhi girte huve ko uthaya nahi
[mein toh mandir gayi,puja-aarti ki
puja karte huve ye khayal aa gaya]..(2)
kabhi maa-baap ki seva ki hi nahi
sirf puja ke karne se kya fayda;
kabhi pyase............fayda.
[mein toh satsang gayi, guru vani suni,
guru vani ko sunkar khayal aa gaya]..(2)
janm manav ka leke daya naa kari
fir manav kehlane se kya fayda;
kabhi pyase.............fayda.
[maine daan diya, maine jap-tap kiya
daan karte huve ye khayaal aa gaya]...(2)
kabhi bhuke ko bhojan khilaya nahi
daan lakho ka karke kya fayda;
kabhi pyase............fayda.
[ganga nahane haridhwar kashi gayi
ganga nahane hi mann me khayal aa gaya]...(2)
tann ko dhoya magar mann ko dhoya nahi
fir ganga nahane se kya fayda;
kabhi pyase............fayda.
[maine veda padhe,maine shashtra padhe
shashtra padhte hue ye khayaal aa gaya]...(2)
maine gyaan kisiko baata nahi
fir gyaani kehlaane se kya fayda;
kabhi pyase............fayda.
[maa-pita ke charno mein charo dham hai
aaja-aaja yahi mukti ka dham hai]...(2)
pita-mata ki seva ki hi nahi
fir tirtho mein jaane se kya fayda;
kabhi pyase............fayda.
kabhi girte huve ko uthaya nahi
[badme aasu bahane se kya fayda]...(3)
ALSO WATCH :
TARA SHARNE AAVYO CHU SWIKARI LE
TAME MAN MUKI NE VARSYA
Awesome bhajan :'(
ReplyDelete